Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghazal gham ki ek hum sunane lage hain

Hadeed Fatema

ghazal gham ki ek hum sunane lage hain

Hadeed Fatema

MORE BYHadeed Fatema

    ġhazal ġham ik ham sunāne lage haiñ

    bharī bazm dil dukhāne lage haiñ

    mire saare apne harīfoñ se mil kar

    merā zabt phir āzmāne lage haiñ

    mohabbat bāteñ jo karte the mujh se

    mujhe chhoḌ kar ab vo jaane lage haiñ

    tirī aas meñ chalā rahā huuñ

    vagarna ye raste thakāne lage haiñ

    tumheñ dil se ham ne nikālā nahīñ par

    sabhī ḳhat tumhāre jalāne lage haiñ

    purāne the jo ġham unheñ bhuul kar ab

    na.e ḳhvāb phir ham sajāne lage haiñ

    ye duniyā nahīñ hai jagah dil-lagī

    so dil ham ḳhudā se lagāne lage haiñ

    ghazal gham ki ek hum sunane lage hain

    bhari bazm ka dil dukhane lage hain

    mere sare apne harifon se mil kar

    mera zabt phir aazmane lage hain

    mohabbat ki baaten jo karte the mujh se

    mujhe chhoD kar ab wo jaane lage hain

    teri aas mein hi chala ja raha hun

    wagarna ye raste thakane lage hain

    tumhein dil se hum ne nikala nahin par

    sabhi KHat tumhaare jalane lage hain

    purane the jo gham unhen bhul kar ab

    nae KHwab phir hum sajaane lage hain

    ye duniya nahin hai jagah dil-lagi ki

    so dil hum KHuda se lagane lage hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now