ghazal ka aab-o-dana chal raha hai
ġhazal kā āb-o-dāna chal rahā hai
abhī ik ġham purānā chal rahā hai
zamāna ho gayā duniyā-e-dil meñ
vahī guzrā zamāna chal rahā hai
sar-e-mahfil jo qissa tham gayā thā
vo qissa ġhā.ebāna chal rahā hai
sajā rakkhī hai ik tasvīr ghar meñ
usī se muskurānā chal rahā hai
abhī aa.e nahīñ qaabū meñ ḳhatre
abhī bachnā bachānā chal rahā hai
na aañsū haiñ na siskī hai na aa.heñ
magar ronā-rulānā chal rahā hai
kabhī dekho mire kūche meñ aa kar
tumhārā ānā-jānā chal rahā hai
jise chhoḌā thā us ne barsoñ pahle
vahī ḳhālī ḳhazāna chal rahā hai
ghazal ka aab-o-dana chal raha hai
abhi ek gham purana chal raha hai
zamana ho gaya duniya-e-dil mein
wahi guzra zamana chal raha hai
sar-e-mahfil jo qissa tham gaya tha
wo qissa ghaebana chal raha hai
saja rakkhi hai ek taswir ghar mein
usi se muskurana chal raha hai
abhi aae nahin qabu mein KHatre
abhi bachna bachana chal raha hai
na aansu hain na siski hai na aahen
magar rona-rulana chal raha hai
kabhi dekho mere kuche mein aa kar
tumhaara aana-jaana chal raha hai
jise chhoDa tha us ne barson pahle
wahi KHali KHazana chal raha hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 116)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.