ghazal kahne se pahle main ghazal ko dekh leta hun

ghazal kahne se pahle main ghazal ko dekh leta hun
Nashad Aurangabadi
MORE BYNashad Aurangabadi
ġhazal kahne se pahle maiñ ġhazal ko dekh letā huuñ
kisī tālāb meñ khilte kañval ko dekh letā huuñ
kisī rangīn titlī ke ta'āqub se bahut pahle
maiñ apne zor-e-bāzū aur bal ko dekh letā huuñ
khañDar kī shakl meñ maujūd haiñ ab bhī jo shahroñ meñ
maiñ jab jaatā huuñ to aise mahal ko dekh letā huuñ
jo hai guftār kā ġhāzī magar kirdār meñ kyā hai
yaqīñ kartā huuñ jab us ke 'amal ko dekh letā huuñ
kisī sūrat se dil apnā bahal jaa.e isī ḳhātir
maiñ ai 'nāshād' pahle kī ġhazal ko dekh letā huuñ
ghazal kahne se pahle main ghazal ko dekh leta hun
kisi talab mein khilte kanwal ko dekh leta hun
kisi rangin titli ke ta'aqub se bahut pahle
main apne zor-e-bazu aur bal ko dekh leta hun
khanDar ki shakl mein maujud hain ab bhi jo shahron mein
main jab jata hun to aise mahal ko dekh leta hun
jo hai guftar ka ghazi magar kirdar mein kya hai
yaqin karta hun jab us ke 'amal ko dekh leta hun
kisi surat se dil apna bahal jae isi KHatir
main ai 'nashad' pahle ki ghazal ko dekh leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.