ghazal ki lau karun mahfil ke KHair-KHwahon par
ġhazal kī lau karūñ mahfil ke ḳhair-ḳhvāhoñ par
ik ism paḌhtā huuñ 'bedil' ke ḳhair-ḳhvāhoñ par
mahak rahā hai riyāzat ke shāḳhche pe gulāb
guzar rahā hai girāñ khil ke ḳhair-ḳhvāhoñ par
ghanerī shab meñ samundar jalāl meñ aayā
uḌaao ab hañsī sāhil ke ḳhair-ḳhvāhoñ par
unheñ 'atā hai fan-e-mo'jiza magar ye ramz
khule khule na khule dil ke ḳhair-ḳhvāhoñ par
ye kaun māntā maiñ partav-e-sahīfa huuñ
ye inkishāf huā mil ke ḳhair-ḳhvāhoñ par
salām karte haiñ chādar-nashīñ saroñ ko 'alī
darūd paḌhte haiñ mahmil ke ḳhair-ḳhvāhoñ par
ghazal ki lau karun mahfil ke KHair-KHwahon par
ek ism paDhta hun 'bedil' ke KHair-KHwahon par
mahak raha hai riyazat ke shaKHche pe gulab
guzar raha hai giran khil ke KHair-KHwahon par
ghaneri shab mein samundar jalal mein aaya
uDao ab hansi sahil ke KHair-KHwahon par
unhen 'ata hai fan-e-mo'jiza magar ye ramz
khule khule na khule dil ke KHair-KHwahon par
ye kaun manta main partaw-e-sahifa hun
ye inkishaf hua mil ke KHair-KHwahon par
salam karte hain chadar-nashin saron ko 'ali
darud paDhte hain mahmil ke KHair-KHwahon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.