Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghayal hai teri shahzadi shahzade

Fauziya rabab

ghayal hai teri shahzadi shahzade

Fauziya rabab

MORE BYFauziya rabab

    ghāyal hai terī shahzādī shahzāde

    ne jo har baat bhulā shahzāde

    har jānib ho ek munādī shahzāde

    terī ho ga.ī ye shahzādī shahzāde

    hañste hañste rotī huuñ phir hañstī huuñ

    ishq ne kaisī mujh ko sazā shahzāde

    aaj bhī arsh ko dekhā terā naam liyā

    aaj bhī maiñ ne tujh ko duā shahzāde

    shaam Dhale to dard bhī apnī aamad

    kar detā hai roz munādī shahzāde

    ham ne to bas pyaar kiyā thā paap nahīñ

    logoñ ne to baat baḌhā shahzāde

    tujh ko chāhā to phir TuuT ke chāhā hai

    sho.aloñ ko bhī ḳhuub havā shahzāde

    qabr pe rote rahne se sukh pāoge

    tum ne kitnī der lagā shahzāde

    bolo āḳhir dil par kyā kuchh bītegī

    tum ne jo har yaad miTā shahzāde

    jitnī umr hai baaqī vo bhī tere naam

    jitnī thī vo tujh pe luTā shahzāde

    aaj 'rabāb' ke lab par chīḳhī ḳhāmoshī

    ḳhāmoshī ne tujh ko sadā shahzāde

    ghayal hai teri shahzadi shahzade

    tu ne jo har baat bhula di shahzade

    har jaanib ho ek munadi shahzade

    teri ho gai ye shahzadi shahzade

    hanste hanste roti hun phir hansti hun

    ishq ne kaisi mujh ko saza di shahzade

    aaj bhi arsh ko dekha tera nam liya

    aaj bhi main ne tujh ko dua di shahzade

    sham Dhale to dard bhi apni aamad ki

    kar deta hai roz munadi shahzade

    hum ne to bas pyar kiya tha pap nahin

    logon ne to baat baDha di shahzade

    tujh ko chaha to phir TuT ke chaha hai

    shoalon ko bhi KHub hawa di shahzade

    qabr pe rote rahne se sukh paoge

    tum ne kitni der laga di shahzade

    bolo aaKHir dil par kya kuchh bitegi

    tum ne jo har yaad miTa di shahzade

    jitni umr hai baqi wo bhi tere nam

    jitni thi wo tujh pe luTa di shahzade

    aaj 'rabab' ke lab par chiKHi KHamoshi

    KHamoshi ne tujh ko sada di shahzade

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now