ghar andhere mein raha tum se to aaya na gaya
ghar añdhere meñ rahā tum se to aayā na gayā
ham se bhī diip koī aur jalāyā na gayā
farq itnā hī nibhāne meñ hamāre hai bas
tum se aayā na gayā ham se to jaayā na gayā
aap karte bhī to kyā karte gila gulshan se
phuul to aap se bhī koī khilāyā na gayā
tum ne vā'de to ka.ī saare kiye the ham se
ek vā'da bhī magar tum se nibhāyā na gayā
ye to maanā ki banā lī hai ye duniyā tum ne
ghar to muflis kā magar tum se banāyā na gayā
ham ne siine se lagā.e to rakhā hai sab ko
dil kisī dil se magar ham se milāyā na gayā
terī duniyā meñ sazā.eñ hī milī haiñ ham ko
jurm kyā kuchh hai hamārā ye batāyā na gayā
ek bas terī havelī kī chamak kī ḳhātir
shahr saarā hī jalā kuchh bhī bachāyā na gayā
ghar andhere mein raha tum se to aaya na gaya
hum se bhi dip koi aur jalaya na gaya
farq itna hi nibhane mein hamare hai bas
tum se aaya na gaya hum se to jaya na gaya
aap karte bhi to kya karte gila gulshan se
phul to aap se bhi koi khilaya na gaya
tum ne wa'de to kai sare kiye the hum se
ek wa'da bhi magar tum se nibhaya na gaya
ye to mana ki bana li hai ye duniya tum ne
ghar to muflis ka magar tum se banaya na gaya
hum ne sine se lagae to rakha hai sab ko
dil kisi dil se magar hum se milaya na gaya
teri duniya mein sazaen hi mili hain hum ko
jurm kya kuchh hai hamara ye bataya na gaya
ek bas teri haweli ki chamak ki KHatir
shahr sara hi jala kuchh bhi bachaya na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.