Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar hai to dar bhi hoga diwar bhi rahegi

Hameed Almas

ghar hai to dar bhi hoga diwar bhi rahegi

Hameed Almas

MORE BYHameed Almas

    ghar hai to dar bhī hogā dīvār bhī rahegī

    zanjīr bhī hilegī jhankār bhī rahegī

    tārīkiyoñ ke qalb-e-tārīk-tar meñ DhūñDo

    ik sham.a māvarā-e-anvār bhī rahegī

    behtar thā be-ruḳhī iz.hār yuuñ na hotā

    maanā ki kuchh to vaj.h-e-inkār bhī rahegī

    jis aañkh ko chhupā kar rakkhā hai har nazar se

    vo nīm-vā bhī hogī bedār bhī rahegī

    sahrā talab goyā maidān-e-karbalā hai

    paañv meñ ret sar par talvār bhī rahegī

    qurbat sā.atoñ meñ duurī ḳhauf hogā

    saa.e se raushnī paikār bhī rahegī

    zāhir hai sādgī bhī 'almās' ke suḳhan se

    lekin ġhazal fitrat pur-kār bhī rahegī

    ghar hai to dar bhi hoga diwar bhi rahegi

    zanjir bhi hilegi jhankar bhi rahegi

    tarikiyon ke qalb-e-tarik-tar mein DhunDo

    ek shama mawara-e-anwar bhi rahegi

    behtar tha be-ruKHi ka izhaar yun na hota

    mana ki kuchh to wajh-e-inkar bhi rahegi

    jis aankh ko chhupa kar rakkha hai har nazar se

    wo nim-wa bhi hogi bedar bhi rahegi

    sahra talab ka goya maidan-e-karbala hai

    panw mein ret sar par talwar bhi rahegi

    qurbat ki saaton mein duri ka KHauf hoga

    sae se raushni ki paikar bhi rahegi

    zahir hai sadgi bhi 'almas' ke suKHan se

    lekin ghazal ki fitrat pur-kar bhi rahegi

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 205)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now