ghar ko bhi kar diya virane mein shamil maine

ghar ko bhi kar diya virane mein shamil maine
Mohammad Baqar Shams
MORE BYMohammad Baqar Shams
ghar ko bhī kar diyā vīrāne meñ shāmil maiñ ne
zauq-e-vahshat ko mire vo bhī to kaafī na huā
na huā us pe bhī vo shoḳh vafā kā qaa.il
zulm hañs hañs ke sahe aur kabhī shākī na huā
duuñ kis ummīd pe ab jaan ki vo zulm-shi’ār
kūche meñ apne mire dafn pe raazī na huā
jis ne un mast-nigāhoñ se milā.īñ āñkheñ
phir vo minnat-kash-e-paimāna-e-sāqī na huā
baada gar ḳhuld meñ hai sab ke liye amr-e-mubāh
jis ne masjid meñ piyā vo bhī to aasī na huā
dil meñ jab hook uThī zabt-e-fuġhāñ kar na sakā
raaz is ghar kā jo thā mujh se vo maḳhfī na huā
'umr jis dasht meñ majnūñ ne guzārī apnī
vo mire zauq-e-junūñ ke liye kaafī na huā
ghar ko bhi kar diya virane mein shamil main ne
zauq-e-wahshat ko mere wo bhi to kafi na hua
na hua us pe bhi wo shoKH wafa ka qail
zulm hans hans ke sahe aur kabhi shaki na hua
dun kis ummid pe ab jaan ki wo zulm-shi’ar
kuche mein apne mere dafn pe raazi na hua
jis ne un mast-nigahon se milain aankhen
phir wo minnat-kash-e-paimana-e-saqi na hua
baada gar KHuld mein hai sab ke liye amr-e-mubah
jis ne masjid mein piya wo bhi to aasi na hua
dil mein jab hook uThi zabt-e-fughan kar na saka
raaz is ghar ka jo tha mujh se wo maKHfi na hua
'umr jis dasht mein majnun ne guzari apni
wo mere zauq-e-junun ke liye kafi na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.