ghar pe bharti jab hasin ek naukrani ho gai
ghar pe bhartī jab hasīñ ik naukrānī ho ga.ī
ghar ke mālik par phir us kī hukmrānī ho ga.ī
suukh kar kāñTā huā begam kī maiñ khā khā ke maar
tang shādī kī khulī ab shervānī ho ga.ī
us ke kapḌoñ se banā saktā huuñ maiñ tambū qanāt
phuul kar kuppā mirī moTī zanānī ho ga.ī
sochtā huuñ dūsrī kā pūchh luuñ begam se maiñ
pahle vaalī shervānī ab purānī ho ga.ī
phir nahīñ ruktī jo paTrī se utar jaa.e kabhī
ab zabāñ kī rail kī dugnī ravānī ho ga.ī
taak kar begam ne maarī Tāñke aa.e sar pe chaar
us ko ġham hai chaar TukḌe chā.e-dānī ho ga.ī
ghar pe bharti jab hasin ek naukrani ho gai
ghar ke malik par phir us ki hukmrani ho gai
sukh kar kanTa hua begam ki main kha kha ke mar
tang shadi ki khuli ab sherwani ho gai
us ke kapDon se bana sakta hun main tambu qanat
phul kar kuppa meri moTi zanani ho gai
sochta hun dusri ka puchh lun begam se main
pahle wali sherwani ab purani ho gai
phir nahin rukti jo paTri se utar jae kabhi
ab zaban ki rail ki dugni rawani ho gai
tak kar begam ne mari Tanke aae sar pe chaar
us ko gham hai chaar TukDe chae-dani ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.