ghar se ghar guzra gali mein se gali jaane lagi
ghar se ghar guzrā galī meñ se galī jaane lagī
aadmī kī phir kamī mahsūs kī jaane lagī
maiñ to jaise is kināre hī kā ho kar rah gayā
tum se achchhā to mujhe ye lahr pī jaane lagī
ye bichhaunā ḳhaak kā ye oḌhnī aflāk kī
kam se kam ye to huā karvaT sahī jaane lagī
āḳhir āḳhir kitne sīdhe ho ga.e hadd-o-hisāb
jo ghaḌī aane lagī vāpas vahī jaane lagī
nusḳha achchhā thā so maiñ bhī kaisā achchhā ho gayā
ghūñT ghūñT ik aañkh merā zahr pī jaane lagī
ār-pār ab aur kyā is raat meñ khul kheliye
raushnī aane lagī aur raushnī jaane lagī
ghar se ghar guzra gali mein se gali jaane lagi
aadmi ki phir kami mahsus ki jaane lagi
main to jaise is kinare hi ka ho kar rah gaya
tum se achchha to mujhe ye lahr pi jaane lagi
ye bichhauna KHak ka ye oDhni aflak ki
kam se kam ye to hua karwaT sahi jaane lagi
aaKHir aaKHir kitne sidhe ho gae hadd-o-hisab
jo ghaDi aane lagi wapas wahi jaane lagi
nusKHa achchha tha so main bhi kaisa achchha ho gaya
ghunT ghunT ek aankh mera zahr pi jaane lagi
aar-par ab aur kya is raat mein khul kheliye
raushni aane lagi aur raushni jaane lagi
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 115)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.