ghar se main dasht ki virani alag rakhta hun
ghar se maiñ dasht kī vīrānī alag rakhtā huuñ
kaam mushkil hai ba-āsānī alag rakhtā huuñ
tab mirī zaat meñ kuchh bhī nahīñ hotā hai numū
apnī is ḳhaak se jab paanī alag rakhtā huuñ
ek jaise nahīñ hote haiñ yahāñ do manzar
sub.h se shaam kī hairānī alag rakhtā huuñ
hai qabā terī alag merī qabā se jaise
terī 'uryānī se 'uryānī alag rakhtā huuñ
mujh ko hotī hai talab sirf tire bose kī
dūsre hoñThoñ se peshānī alag rakhtā huuñ
merī sultānī to duniyā tire hī jaisī thī
haañ magar be-sar-o-sāmānī alag rakhtā huuñ
yūñhī dastak nahīñ detī mire dar par tā'bīr
ḳhvāb kī tum se nigahbānī alag rakhtā huuñ
jism kī tīrgī hai vo hī zamāne vaalī
maiñ to bas ruuh kī tābānī alag rakhtā huuñ
muḳhtalif haiñ mirī ḳhushiyāñ bhī kisī se 'āzar'
ye bhī sach hai ki pareshānī alag rakhtā huuñ
ghar se main dasht ki virani alag rakhta hun
kaam mushkil hai ba-asani alag rakhta hun
tab meri zat mein kuchh bhi nahin hota hai numu
apni is KHak se jab pani alag rakhta hun
ek jaise nahin hote hain yahan do manzar
subh se sham ki hairani alag rakhta hun
hai qaba teri alag meri qaba se jaise
teri 'uryani se 'uryani alag rakhta hun
mujh ko hoti hai talab sirf tere bose ki
dusre honThon se peshani alag rakhta hun
meri sultani to duniya tere hi jaisi thi
han magar be-sar-o-samani alag rakhta hun
yunhi dastak nahin deti mere dar par ta'bir
KHwab ki tum se nigahbani alag rakhta hun
jism ki tirgi hai wo hi zamane wali
main to bas ruh ki tabani alag rakhta hun
muKHtalif hain meri KHushiyan bhi kisi se 'azar'
ye bhi sach hai ki pareshani alag rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.