ghis raha hai koi nashtar gham na kar
ghis rahā hai koī nashtar ġham na kar
aa.egā terā bhī number ġham na kar
sangsārī ḳhatm hone ko hai ab
bas bachā hai ek patthar ġham na kar
dam idhar niklegā terā aur udhar
duur hoñge tere sab Dar ġham na kar
ashrafoñ se kuchh na kuchh bach jā.egā
pā.egā phir tū bhī sāġhar ġham na kar
faisle kī fikr mat kar mere dost
merī muTThī meñ hai dāvar ġham na kar
naam terā bhī vasiyyat meñ likhā
pā.egā tū ek khanDar ġham na kar
ghis raha hai koi nashtar gham na kar
aaega tera bhi number gham na kar
sangsari KHatm hone ko hai ab
bas bacha hai ek patthar gham na kar
dam idhar niklega tera aur udhar
dur honge tere sab Dar gham na kar
ashrafon se kuchh na kuchh bach jaega
paega phir tu bhi saghar gham na kar
faisle ki fikr mat kar mere dost
meri muTThi mein hai dawar gham na kar
nam tera bhi wasiyyat mein likha
paega tu ek khanDar gham na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.