girne wali hai bahut jald ye sarkar huzur
girne vaalī hai bahut jald ye sarkār huzūr
haañ nazar aate haiñ aise hī kuchh āsār huzūr
kārvāñ yūñhī bhaTaktā rahe har baar huzūr
nek niyyat na hoñ gar qāfila-e-sālār huzūr
vo jo az-ḳhud hī bane baiThe haiñ sardār huzūr
vaqt ik din unheñ lā.egā sar-e-dār huzūr
ḳhud ko dete haiñ vo dhokā yūñhī be-kār huzūr
jo ḳhatāoñ kā nahīñ karte haiñ iqrār huzūr
sāmne aa kai rahe sach sar-e-bāzār huzūr
koī kitnā hī kare jhuuT kā parchār huzūr
girne wali hai bahut jald ye sarkar huzur
han nazar aate hain aise hi kuchh aasar huzur
karwan yunhi bhaTakta rahe har bar huzur
nek niyyat na hon gar qafila-e-salar huzur
wo jo az-KHud hi bane baiThe hain sardar huzur
waqt ek din unhen laega sar-e-dar huzur
KHud ko dete hain wo dhoka yunhi be-kar huzur
jo KHataon ka nahin karte hain iqrar huzur
samne aa kai rahe sach sar-e-bazar huzur
koi kitna hi kare jhuT ka parchaar huzur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.