Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

go dur ho chuka hun yaran-e-anjuman se

Urooj Zaidi Badayuni

go dur ho chuka hun yaran-e-anjuman se

Urooj Zaidi Badayuni

MORE BYUrooj Zaidi Badayuni

    go duur ho chukā huuñ yārān-e-anjuman se

    lekin mafar nahīñ hai ehsās chubhan se

    husn-e-nazar jaadū sar chaḌh ke boltā hai

    asnām-e-marmarīñ bhī lagte haiñ sīm-tan se

    ġhuncha phuul ban kar jān-e-chaman huā hai

    maiñ ne yaqīñ daulat paa.ī hai husn-e-zan se

    aaj un ke rāstoñ meñ kāñTe bichhe hue haiñ

    kal tak jo khelte the rañgīnī-e-chaman se

    jaise chaman se nik.hat jaise sadaf se motī

    aise judā huā huuñ maiñ jannat-e-vatan se

    maiñ rāz-e-rañg-o-bū se nā-āshnā nahīñ huuñ

    mujh ko gila bhī kab hai phūloñ anjuman se

    merī ġhazal 'urūj' ik tasvīr-e-asr-e-nau hai

    maiñ ne use sañvārā tahzīb-e-fikr-o-fan se

    go dur ho chuka hun yaran-e-anjuman se

    lekin mafar nahin hai ehsas ki chubhan se

    husn-e-nazar ka jadu sar chaDh ke bolta hai

    asnam-e-marmarin bhi lagte hain sim-tan se

    ghuncha hi phul ban kar jaan-e-chaman hua hai

    main ne yaqin ki daulat pai hai husn-e-zan se

    aaj un ke raston mein kanTe bichhe hue hain

    kal tak jo khelte the rangini-e-chaman se

    jaise chaman se nikhat jaise sadaf se moti

    aise juda hua hun main jannat-e-watan se

    main raaz-e-rang-o-bu se na-ashna nahin hun

    mujh ko gila bhi kab hai phulon ki anjuman se

    meri ghazal 'uruj' ek taswir-e-asr-e-nau hai

    main ne use sanwara tahzib-e-fikr-o-fan se

    Source:

    1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 82)

    • Author: Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
      • Edition: 1972
      • Publisher: P.K. Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now