go ranj-ha-e-ishq se majruh zat ho
go ranj-hā-e-'ishq se majrūh zaat ho
mumkin nahīñ ki dil se kabhī ehtiyāt ho
tum bhī ulajh rahe ho musāhib se be-sabab
merī hī tarh tum bhī baḌe vāhiyāt ho
shāyad kahīñ ho aisā koī shahr-e-ārzū
din din kī tarh din ho jahāñ raat raat ho
dair-o-haram ke sāya-e-dīvār-o-dar se duur
chhoTī sī dars-gāh lab-e-kā.enāt ho
mujh ko bhī bolne de kisī mas.ale pe yaar
mumkin hai merī baat tire dil kī baat ho
go ranj-ha-e-'ishq se majruh zat ho
mumkin nahin ki dil se kabhi ehtiyat ho
tum bhi ulajh rahe ho musahib se be-sabab
meri hi tarh tum bhi baDe wahiyat ho
shayad kahin ho aisa koi shahr-e-arzu
din din ki tarh din ho jahan raat raat ho
dair-o-haram ke saya-e-diwar-o-dar se dur
chhoTi si dars-gah lab-e-kaenat ho
mujh ko bhi bolne de kisi masale pe yar
mumkin hai meri baat tere dil ki baat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.