Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

go tar-e-ankabut aaya nahin ab tak gumanon mein

Faisal Azeem

go tar-e-ankabut aaya nahin ab tak gumanon mein

Faisal Azeem

MORE BYFaisal Azeem

    go tār-e-ankabūt aayā nahīñ ab tak gumānoñ meñ

    magar kuchh makḌiyoñ sarsarāhaT hai kānoñ meñ

    zamīñ-zādoñ ko ab miTTī se to vābasta rahne do

    ḳhudārā fasl-e-nau zauq rahne do kisānoñ meñ

    saroñ se āsmāñ bhī kyā haTāyā jaane vaalā hai

    shabīheñ mehr-o-mah Tāñkte ho kyoñ makānoñ meñ

    zarā Thahro ugegī bhuuk bhī kāġhaz ke peḌoñ par

    abhī to haath bāñTe rahe haiñ bāġhbānoñ meñ

    bahut mumkin hai patthar ke zamāne ke nazar aao

    agar paidā kiyā jaa.e tumheñ pichhle zamānoñ meñ

    na panje haiñ na par haiñ aur na hai parvāz tāqat

    jo naġhma-sañj honā ho to luknat hai zabānoñ meñ

    chalā aatā hai bastī meñ liye zambīl fatvoñ

    aisā kar baserā kar pahāḌoñ chaTānoñ meñ

    go tar-e-ankabut aaya nahin ab tak gumanon mein

    magar kuchh makDiyon ki sarsarahaT si hai kanon mein

    zamin-zadon ko ab miTTi se to wabasta rahne do

    KHudara fasl-e-nau ka zauq rahne do kisanon mein

    saron se aasman bhi kya haTaya jaane wala hai

    shabihen mehr-o-mah ki Tankte ho kyon makanon mein

    zara Thahro ugegi bhuk bhi kaghaz ke peDon par

    abhi to hath banTe ja rahe hain baghbanon mein

    bahut mumkin hai patthar ke zamane ke nazar aao

    agar paida kiya jae tumhein pichhle zamanon mein

    na panje hain na par hain aur na hai parwaz ki taqat

    jo naghma-sanj hona ho to luknat hai zabanon mein

    chala aata hai basti mein liye zambil fatwon ki

    tu aisa kar basera kar pahaDon ki chaTanon mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now