go tujhse kabhi sarf-e-nazar hum nahin karte
go tujh se kabhī sarf-e-nazar ham nahīñ karte
tere liye duniyā se mafar ham nahīñ karte
hālāñki asar meñ tire rahte haiñ shab-o-roz
har kaam tire zer-e-asar ham nahīñ karte
vo shahr meñ yuuñ hī kahīñ mil jaatā hai aksar
milne ke liye us se safar ham nahīñ karte
uTh jaa.e kam-o-besh ma'ānī kā takalluf
kyoñ apnī ḳhamoshī ko hunar ham nahīñ karte
tai kaise kareñ vādī-e-jāñ ke ye marāhil
ab jism kī manzil ko bhī sar ham nahīñ karte
ham jiite haiñ bas apnī hī marzī ke mutābiq
auroñ kī tarah 'umr basar ham nahīñ karte
'najmī' ham use qibla-e-jāñ kahte haiñ lekin
afsos ki ruḳh apnā udhar ham nahīñ karte
go tujh se kabhi sarf-e-nazar hum nahin karte
tere liye duniya se mafar hum nahin karte
haalanki asar mein tere rahte hain shab-o-roz
har kaam tere zer-e-asar hum nahin karte
wo shahr mein yun hi kahin mil jata hai aksar
milne ke liye us se safar hum nahin karte
uTh jae kam-o-besh ma'ani ka takalluf
kyon apni KHamoshi ko hunar hum nahin karte
tai kaise karen wadi-e-jaan ke ye marahil
ab jism ki manzil ko bhi sar hum nahin karte
hum jite hain bas apni hi marzi ke mutabiq
auron ki tarah 'umr basar hum nahin karte
'najmi' hum use qibla-e-jaan kahte hain lekin
afsos ki ruKH apna udhar hum nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.