Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghubar-e-ehsas-o-pesh-o-pas ki agar ye barik tah haTaen

Aslam Ansari

ghubar-e-ehsas-o-pesh-o-pas ki agar ye barik tah haTaen

Aslam Ansari

MORE BYAslam Ansari

    ġhubār-e-ehsās-o-pesh-o-pas agar ye bārīk tah haTā.eñ

    to ek pal meñ na jaane kitne zamānoñ ke aks thartharā.eñ

    ḳhizāñ agar apnā ḳhuuñ na baḳhshe to fasl-e-gul kaise surḳh-rū ho

    sukūt apnā jigar na chīre to kaise jhankār deñ sadā.eñ

    bikhar chale haiñ bikhar chuke haiñ gul-e-ibārat ke barg-reze

    kitāb-e-jāñ shahādatoñ varaq varaq le ga.iiñ havā.eñ

    huā be-rañg taḳhtiyoñ par sadā tahrīr kyā ubhāreñ

    sukūt ke be-nishāñ khañDar meñ charāġh-e-āvāz kyā jalā.eñ

    ye shauq be-nasīb kaliyāñ ye dard ke be-ḳhizāñ shagūfe

    tumhāre qadmoñ meñ rakh na paa.e to kis chaukhaT pe girā.eñ

    havā talvār chal rahī ho to shāḳh-e-ummīd kyā sambhāleñ

    badan dīvār gir rahī ho to dil dīvār kyā bachā.eñ

    tamāshā-gāh-e-tarab-nishāñ meñ sabhī ko lāzim hai muskurānā

    jo ġham-faroshī na karnā chāheñ vahī yahāñ baḳht āzmā.eñ

    muhīb rātoñ meñ Dagmagāte dukhī badan ke musāfiroñ ko

    akele-pan meñ Darā rahī hai samay ke jañgal saa.eñ saa.eñ

    tamām alfāz mar chuke haiñ tamām ahbāb chuke haiñ

    ga.ī rutoñ ke sitam qissa sunā.eñ kaise kise sunā.eñ

    ghubar-e-ehsas-o-pesh-o-pas ki agar ye barik tah haTaen

    to ek pal mein na jaane kitne zamanon ke aks thartharaen

    KHizan agar apna KHun na baKHshe to fasl-e-gul kaise surKH-ru ho

    sukut apna jigar na chire to kaise jhankar den sadaen

    bikhar chale hain bikhar chuke hain gul-e-ibarat ke barg-reze

    kitab-e-jaan ki shahadaton ka waraq waraq le gain hawaen

    hua ki be-rang taKHtiyon par sada ki tahrir kya ubhaaren

    sukut ke be-nishan khanDar mein charagh-e-awaz kya jalaen

    ye shauq ki be-nasib kaliyan ye dard ke be-KHizan shagufe

    tumhaare qadmon mein rakh na pae to kis ki chaukhaT pe ja giraen

    hawa ki talwar chal rahi ho to shaKH-e-ummid kya sambhaalen

    badan ki diwar gir rahi ho to dil ki diwar kya bachaen

    tamasha-gah-e-tarab-nishan mein sabhi ko lazim hai muskurana

    jo gham-faroshi na karna chahen wahi yahan baKHt aazmaen

    muhib raaton mein Dagmagate dukhi badan ke musafiron ko

    akele-pan mein Dara rahi hai samay ke jangal ki saen saen

    tamam alfaz mar chuke hain tamam ahbab ja chuke hain

    gai ruton ke sitam ka qissa sunaen kaise kise sunaen

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 778)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now