ghubar hone lagin zindagi mein sab chizen
ġhubār hone lagīñ zindagī meñ sab chīzeñ
ye merā vahm hai yā vāqa'ī meñ sab chīzeñ
kisī bhī chiiz se is meñ kamī nahīñ aatī
izāfa kartī haiñ terī kamī meñ sab chīzeñ
ye inkishāf huā hai añdherā baḌhne se
dikhā.ī detī nahīñ raushnī meñ sab chīzeñ
nikal rahā thā maiñ ghar se to kal nazar aa.iiñ
ġhurūb hotī huī us galī meñ sab chīzeñ
yahī ġhiyāb meñ mere kalām kartī haiñ
jo chup haiñ ab mirī maujūdgī meñ sab chīzeñ
vo vaqt biit chukā ab 'ajīb lagtī haiñ
pasand aatī rahīñ jo ḳhushī meñ sab chīzeñ
maiñ kis tarah se tumhārī sadā pe ruk jā.ūñ
ki chal rahī haiñ mirī hamrahī meñ sab chīzeñ
mire badalne se ye inqalāb aayā hai
badal ga.ī haiñ ghaḌī do ghaḌī meñ sab chīzeñ
magar ye shahr hai 'kāshif-husain' dasht nahīñ
ravā sahī miyāñ dīvāngī meñ sab chīzeñ
ghubar hone lagin zindagi mein sab chizen
ye mera wahm hai ya waqa'i mein sab chizen
kisi bhi chiz se is mein kami nahin aati
izafa karti hain teri kami mein sab chizen
ye inkishaf hua hai andhera baDhne se
dikhai deti nahin raushni mein sab chizen
nikal raha tha main ghar se to kal nazar aain
ghurub hoti hui us gali mein sab chizen
yahi ghiyab mein mere kalam karti hain
jo chup hain ab meri maujudgi mein sab chizen
wo waqt bit chuka ab 'ajib lagti hain
pasand aati rahin jo KHushi mein sab chizen
main kis tarah se tumhaari sada pe ruk jaun
ki chal rahi hain meri hamrahi mein sab chizen
mere badalne se ye inqalab aaya hai
badal gai hain ghaDi do ghaDi mein sab chizen
magar ye shahr hai 'kashif-husain' dasht nahin
rawa sahi miyan diwangi mein sab chizen
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 93)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.