gul hain to aap apni hi KHushbu mein sochiye

Zafar Sahbai

gul hain to aap apni hi KHushbu mein sochiye

Zafar Sahbai

MORE BY Zafar Sahbai

  gul haiñ to aap apnī ḳhushbū meñ sochiye

  jo kuchh bhī sochnā hai vo urdu meñ sochiye

  dil meñ agar nahīñ hai kisī zaḳhm numūd

  surḳhī kahāñ se aa ga.ī aañsū meñ sochiye

  ye mas.ala nahīñ ki jaleñge kahāñ charāġh

  kaise havā.eñ ā.eñgī qaabū meñ sochiye

  yuuñ sarsarī guzariye na us dasht-e-karb se

  vahshat ki iztirāb hai aahū meñ sochiye

  kuchh to ḳhabar nikāliye kaise lagā ye rog

  kyuuñ Dhal rahā hai aadmī vastū meñ sochiye

  aap ne jo pursish-e-ahvāl shukriyā

  ham kaise hoñge saltanat-e-hū meñ sochiye

  ḳhud pūchhtī hai aap se tanhā.ī aap

  mahtāb kyuuñ hai raat ke pahlū meñ sochiye

  vo jis qurb aap ko milnā muhāl ho

  kyā ho jo baiTh jaa.e vo baazū meñ sochiye

  gul hain to aap apni hi KHushbu mein sochiye

  jo kuchh bhi sochna hai wo urdu mein sochiye

  dil mein agar nahin hai kisi zaKHm ki numud

  surKHi kahan se aa gai aansu mein sochiye

  ye masala nahin ki jalenge kahan charagh

  kaise hawaen aaengi qabu mein sochiye

  yun sarsari guzariye na us dasht-e-karb se

  wahshat ki iztirab hai aahu mein sochiye

  kuchh to KHabar nikaliye kaise laga ye rog

  kyun Dhal raha hai aadmi wastu mein sochiye

  ki aap ne jo pursish-e-ahwal shukriya

  hum kaise honge saltanat-e-hu mein sochiye

  KHud puchhti hai aap se tanhai aap ki

  mahtab kyun hai raat ke pahlu mein sochiye

  wo jis ka qurb aap ko milna muhaal ho

  kya ho jo baiTh jae wo bazu mein sochiye

  Source:

  • Book : aatish zer pa (Pg. 25)
  • Author : zafar sehbai
  • Publication : zafar sehbai Bhopal (2009)
  • Edition : 2009
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY