gulshan ke baghban se phulon ke pasban se
gulshan ke bāġhbāñ se phūloñ ke pāsbāñ se
khaa.e fareb ham ne apnoñ ke āstāñ se
dhokā fareb nafrat har gaam be-hayā.ī
bezār dil hai merā mālik tire jahāñ se
ai mujh pe hañsne vaalo kal kyā pata tumheñ bhī
ronā paḌegā gir kar nazroñ ke āsmāñ se
itrā.e phir rahe ho zor-e-qalam pe apne
achchhā nahīñ takabbur miT jāoge jahāñ se
karte ho naql us kī har pal ayyūb 'ādil'
jo ḳhūbiyāñ haiñ us meñ lāoge tum kahāñ se
gulshan ke baghban se phulon ke pasban se
khae fareb hum ne apnon ke aastan se
dhoka fareb nafrat har gam be-hayai
bezar dil hai mera malik tere jahan se
ai mujh pe hansne walo kal kya pata tumhein bhi
rona paDega gir kar nazron ke aasman se
itrae phir rahe ho zor-e-qalam pe apne
achchha nahin takabbur miT jaoge jahan se
karte ho naql us ki har pal ayyub 'adil'
jo KHubiyan hain us mein laoge tum kahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.