gulshan mein shor-e-zagh-o-zaghan kuchh na puchhiye
gulshan meñ shor-e-zāġh-o-zaġhan kuchh na pūchhiye
kyā kuchh hai bulbuloñ kī kuḌhan kuchh na pūchhiye
kunj-e-qafas meñ hāl-e-chaman kuchh na pūchhiye
afsāna-e-nishāt-e-kuhan kuchh na pūchhiye
kis kis tarah tabāh huā apnā āshiyāñ
tūfān-e-barq-o-bād-e-chaman kuchh na pūchhiye
sayyād se nibāh ho gul-chīñ se rasm-o-rāh
ho jab ye bāġhbāñ kā chalan kuchh na pūchhiye
shabnam zarā girī bhī to bas chhan se uḌ ga.ī
gul yuuñ damak uThe ki patan kuchh na pūchhiye
abr-e-bahār aur girīñ us se bijliyāñ
hālāt-e-iltihāb-e-chaman kuchh na pūchhiye
achchhe rahe jo kunj-e-qafas meñ simaT rahe
ḳhatrāt-e-sahn-e-bāġh-o-chaman kuchh na pūchhiye
kuchh ghaT chalī thī mere shab-e-ġham kī tīrgī
phir chāñd ko lagā to gahan kuchh na pūchhiye
barsoñ sañvārī ham ne jo uljhī kisī kī zulf
aaj us meñ paḌ ga.ī jo shikan kuchh na pūchhiye
vo pūchhte haiñ mujh se mirā mudda’ā-e-‘ishq
ab hāl-e-iztirāb-e-suḳhan kuchh na pūchhiye
talḳhāb apne haq meñ mai-e-nau kā ghūñT ghūñT
phir lazzat-e-sharāb-e-kuhan kuchh na pūchhiye
hikmat kabhī thī hikmat-e-islāh-e-zindagī
jab falsafa ho makr kā fan kuchh na pūchhiye
insāniyat ko bhuul ke insāñ huā hai kyā
shaitān kyoñ hai qahqaha-zan kuchh na pūchhiye
vo be-niyāz-e-fikr-o-talab un ko kyā talab
maiñ shauq-o-ārzū hama-tan kuchh na pūchhiye
har lab pe koī nā’ra-e-mansūr josh-zan
tajdīd-e-zauq-e-dār-o-rasan kuchh na pūchhiye
ye dekhiye ki fitrat-e-haq kī sadā hai kyā
'ārif' kā mudda’ā-e-suḳhan kuchh na pūchhiye
gulshan mein shor-e-zagh-o-zaghan kuchh na puchhiye
kya kuchh hai bulbulon ki kuDhan kuchh na puchhiye
kunj-e-qafas mein haal-e-chaman kuchh na puchhiye
afsana-e-nishat-e-kuhan kuchh na puchhiye
kis kis tarah tabah hua apna aashiyan
tufan-e-barq-o-baad-e-chaman kuchh na puchhiye
sayyaad se nibah ho gul-chin se rasm-o-rah
ho jab ye baghban ka chalan kuchh na puchhiye
shabnam zara giri bhi to bas chhan se uD gai
gul yun damak uThe ki patan kuchh na puchhiye
abr-e-bahaar aur girin us se bijliyan
haalat-e-iltihab-e-chaman kuchh na puchhiye
achchhe rahe jo kunj-e-qafas mein simaT rahe
KHatraat-e-sahn-e-bagh-o-chaman kuchh na puchhiye
kuchh ghaT chali thi mere shab-e-gham ki tirgi
phir chand ko laga to gahan kuchh na puchhiye
barson sanwari hum ne jo uljhi kisi ki zulf
aaj us mein paD gai jo shikan kuchh na puchhiye
wo puchhte hain mujh se mera mudda’a-e-‘ishq
ab haal-e-iztirab-e-suKHan kuchh na puchhiye
talKHab apne haq mein mai-e-nau ka ghunT ghunT
phir lazzat-e-sharab-e-kuhan kuchh na puchhiye
hikmat kabhi thi hikmat-e-islah-e-zindagi
jab falsafa ho makr ka fan kuchh na puchhiye
insaniyat ko bhul ke insan hua hai kya
shaitan kyon hai qahqaha-zan kuchh na puchhiye
wo be-niyaz-e-fikr-o-talab un ko kya talab
main shauq-o-arzu hama-tan kuchh na puchhiye
har lab pe koi na’ra-e-mansur josh-zan
tajdid-e-zauq-e-dar-o-rasan kuchh na puchhiye
ye dekhiye ki fitrat-e-haq ki sada hai kya
'arif' ka mudda’a-e-suKHan kuchh na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.