gulshan se jab bahaar ka mausam guzar gaya
gulshan se jab bahār kā mausam guzar gayā
maiñ bhī ġhubār ban ke havā meñ bikhar gayā
dariyā ke biich se to vo hañs kar guzar gayā
sāhil ke paas aa ke vo tūfāñ se Dar gayā
Thokar lagī kuchh aisī vo gir kar na uTh sakā
saarā nasha ġhurūr kā sar se utar gayā
un ke baġhair mere muqaddar meñ kuchh na thā
vo aa ga.e to merā muqaddar sañvar gayā
vaise kisī ne mujh ko nikharne nahīñ diyā
ḳhud ko tarāsh kar maiñ 'azīzo nikhar gayā
jab tak yahāñ rahā vo koī pūchhtā na thā
sab pūchhte haiñ us ko ki ab vo kidhar gayā
sach bolne hī vaalā thā ik shaḳhs ai 'ziyā'
yak-laḳht us kī piiTh meñ ḳhanjar utar gayā
gulshan se jab bahaar ka mausam guzar gaya
main bhi ghubar ban ke hawa mein bikhar gaya
dariya ke bich se to wo hans kar guzar gaya
sahil ke pas aa ke wo tufan se Dar gaya
Thokar lagi kuchh aisi wo gir kar na uTh saka
sara nasha ghurur ka sar se utar gaya
un ke baghair mere muqaddar mein kuchh na tha
wo aa gae to mera muqaddar sanwar gaya
waise kisi ne mujh ko nikharne nahin diya
KHud ko tarash kar main 'azizo nikhar gaya
jab tak yahan raha wo koi puchhta na tha
sab puchhte hain us ko ki ab wo kidhar gaya
sach bolne hi wala tha ek shaKHs ai 'ziya'
yak-laKHt us ki piTh mein KHanjar utar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.