gulshan suraj chand sitare
gulshan sūraj chāñd sitāre
paḌhtā huuñ aḳhbār tumhāre
aise kiye kuchh us ne ishāre
zehn ke ho ga.e vaare nyāre
bhārī haiñ sandūq hamāre
kaun hameñ us paar utāre
mar na sake chaukhaT par us kī
phirte raho ab māre-māre
jiit ga.ī haiñ us kī pariyāñ
haar ga.e jinnāt hamāre
juujh rahā huuñ maiñ lahroñ se
naav bañdhī hai nadī kināre
gul hī nahīñ us kī bagiyā ke
kāñTe bhī lagte haiñ pyāre
gulshan suraj chand sitare
paDhta hun aKHbar tumhaare
aise kiye kuchh us ne ishaare
zehn ke ho gae ware nyare
bhaari hain sanduq hamare
kaun hamein us par utare
mar na sake chaukhaT par us ki
phirte raho ab mare-mare
jit gai hain us ki pariyan
haar gae jinnat hamare
jujh raha hun main lahron se
naw bandhi hai nadi kinare
gul hi nahin us ki bagiya ke
kanTe bhi lagte hain pyare
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 81)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.