gulzar khila Dala jis rah se hum guzre
gulzār khilā Daalā jis raah se ham guzre
chunte hue ḳhāroñ ko zaḳhmoñ kī qasam guzre
majbūr-e-mohabbat kā tohfa haiñ ye do aañsū
bach bach ke zarā in se tūfān-e-sitam guzre
bā-hosh na rah paa.e behosh na ho paa.e
aise bhī ka.ī aalam is dil pe baham guzre
dekhā ġham-e-daurāñ ne hairat kī nigāhoñ se
kāñToñ-bharī rāhoñ se hañs hañs ke jo ham guzre
dekhā na kabhī us ne ham sāmne se aksar
āñkhoñ meñ liye apnī rūdād-e-alam guzre
mas.hūr huī duniyā maḳhmūr huā aalam
ḳhvāboñ ke jazīre se ho kar jo sanam guzre
gulzar khila Dala jis rah se hum guzre
chunte hue KHaron ko zaKHmon ki qasam guzre
majbur-e-mohabbat ka tohfa hain ye do aansu
bach bach ke zara in se tufan-e-sitam guzre
ba-hosh na rah pae behosh na ho pae
aise bhi kai aalam is dil pe baham guzre
dekha gham-e-dauran ne hairat ki nigahon se
kanTon-bhari rahon se hans hans ke jo hum guzre
dekha na kabhi us ne hum samne se aksar
aankhon mein liye apni rudad-e-alam guzre
mashur hui duniya maKHmur hua aalam
KHwabon ke jazire se ho kar jo sanam guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.