guman sa hai dil-e-KHush-guman ke bich kahin
gumān sā hai dil-e-ḳhush-gumāñ ke biich kahīñ
khulā hai dar sā koī āsmāñ ke biich kahīñ
dharī hai tāq-e-abad meñ kisī charāġh kī lau
khilā huā hai koī gul ḳhizāñ ke biich kahīñ
khule nahīñ haiñ abhī hairatoñ ke baab ka.ī
bhare haiñ bhed mirī dāstāñ ke biich kahīñ
vo ḳhvāb aur kināroñ ke log dekheñge
bahe the jo mire sail-e-ravāñ ke biich kahīñ
paḌā huā hai mirā aa.ina damaktā huā
zamīñ ke biich kahīñ yā zamāñ ke biich kahīñ
mileñge agle zamānoñ meñ ḳhadd-o-ḳhāl mire
chhupā huā huuñ maiñ harf-o-bayāñ ke biich kahīñ
azal se ḳhaak huuñ aur ḳhaak ko zavāl nahīñ
mudām rahnā hai sayyārgāñ ke biich kahīñ
mirā sitāra-e-zau-rez us taraf hī na ho
talāsh karnā hai ā.indagāñ ke biich kahīñ
guman sa hai dil-e-KHush-guman ke bich kahin
khula hai dar sa koi aasman ke bich kahin
dhari hai taq-e-abad mein kisi charagh ki lau
khila hua hai koi gul KHizan ke bich kahin
khule nahin hain abhi hairaton ke bab kai
bhare hain bhed meri dastan ke bich kahin
wo KHwab aur kinaron ke log dekhenge
bahe the jo mere sail-e-rawan ke bich kahin
paDa hua hai mera aaina damakta hua
zamin ke bich kahin ya zaman ke bich kahin
milenge agle zamanon mein KHadd-o-KHal mere
chhupa hua hun main harf-o-bayan ke bich kahin
azal se KHak hun aur KHak ko zawal nahin
mudam rahna hai sayyargan ke bich kahin
mera sitara-e-zau-rez us taraf hi na ho
talash karna hai aaindagan ke bich kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.