Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanwarta hai

Naaz Muradabadi

guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanwarta hai

Naaz Muradabadi

MORE BYNaaz Muradabadi

    guzar kar aadmī rāh-e-musībat se sañvartā hai

    qamar nuur shab zulmatoñ meñ nikhartā hai

    ba-juz dard-e-hayāt-e-ġham nahīñ miltā kahīñ kuchh bhī

    bashar duniyā-e-fānī meñ jahāñ se bhī guzartā hai

    guloñ pattiyāñ jaise guloñ se ruuTh jaatī haiñ

    dam-e-tanhā.ī-e-ġham kuchh mirā dil yuuñ bikhartā hai

    ba-sūrat qatra-e-shabnam huuñ maiñ ḳhār-e-gulistāñ par

    mirā dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshāñ se bhī Dartā hai

    ye dekhā hai nahīñ be-faiz aamad abr-e-naisāñ

    koī anjām hotā hai bashar jo kuchh bhī kartā hai

    farishtoñ guzar jin manziloñ se ġhair-mumkin hai

    bashar azmateñ dekho vahāñ se bhī guzartā hai

    nikohish nāḳhun-e-nādāñ pe qaabū jaatī hai

    baḌā parhez karte haiñ kahīñ tab zaḳhm bhartā hai

    sambhal ai firqa-e-ushshāq ab phir imtihāñ hogā

    sar-e-chilman kisī kāfir phir gesū sañvartā hai

    ulajhte haiñ tire kūche meñ jo murġh-e-chaman ke pair

    dam-e-parvāz gulshan se kisī dil bhī bhartā hai

    fanā kartā hai pahle zindagī har tamannā ko

    kahīñ tab ke insāñ pastī-e-ġham se ubhartā hai

    isī baa.is vufūr-e-ġham meñ aksar 'nāz' hañste haiñ

    musībat aur baḌhtī hai jo ġham se jitnā Dartā hai

    guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanwarta hai

    qamar ka nur shab ki zulmaton mein hi nikharta hai

    ba-juz dard-e-hayat-e-gham nahin milta kahin kuchh bhi

    bashar duniya-e-fani mein jahan se bhi guzarta hai

    gulon ki pattiyan jaise gulon se ruTh jati hain

    dam-e-tanhai-e-gham kuchh mera dil yun bikharta hai

    ba-surat qatra-e-shabnam hun main KHar-e-gulistan par

    mera dil zahmat-e-mehr-e-daraKHshan se bhi Darta hai

    ye dekha hai nahin be-faiz aamad abr-e-naisan ki

    koi anjam hota hai bashar jo kuchh bhi karta hai

    farishton ka guzar jin manzilon se ghair-mumkin hai

    bashar ki azmaten dekho wahan se bhi guzarta hai

    nikohish naKHun-e-nadan pe qabu pa hi jati hai

    baDa parhez karte hain kahin tab zaKHm bharta hai

    sambhal ai firqa-e-ushshaq ab phir imtihan hoga

    sar-e-chilman kisi kafir ka phir gesu sanwarta hai

    ulajhte hain tere kuche mein jo murgh-e-chaman ke pair

    dam-e-parwaz gulshan se kisi ka dil bhi bharta hai

    fana karta hai pahle zindagi ki har tamanna ko

    kahin tab ja ke insan pasti-e-gham se ubharta hai

    isi bais wufur-e-gham mein aksar 'naz' hanste hain

    musibat aur baDhti hai jo gham se jitna Darta hai

    Source:

    Subh-e-Hayat (Pg. 136)

    • Author: Naaz Muradabadi
      • Edition: 1972
      • Publisher: Anwar Ahmad Siddiqi
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now