guzishta se koi lamha bhi paiwasta nahin nikla
guzishta se koī lamha bhī paivasta nahīñ niklā
hamārā haal kyoñ maazī se vābasta nahīñ niklā
hunar-nā-āshnā Thahrī hamārī sho'bada-bāzī
kisī rūmāl ke parde se guldasta nahīñ niklā
'adū se jang karne pe hai saarā shahr āmāda
koī ab tak magar ghar se kamar-basta nahīñ niklā
tumhārī guftugū saarī mujhe lagtī hai masnū'ī
koī jumla tumhāre muñh se barjasta nahīñ niklā
yahāñ do-chār din merā Thaharne kā irāda thā
magar is shahr se bāhar koī rasta nahīñ niklā
ka.ī andāz se ye dil ḳharīdā aur bechā hai
magar saudā mohabbat meñ kabhī sastā nahīñ niklā
na-jāne mar gayā is shahr kā har shaḳhs kyoñ 'āsim'
ki andar se to koī jism bhī ḳhasta nahīñ niklā
guzishta se koi lamha bhi paiwasta nahin nikla
hamara haal kyon mazi se wabasta nahin nikla
hunar-na-ashna Thahri hamari sho'bada-bazi
kisi rumal ke parde se guldasta nahin nikla
'adu se jang karne pe hai sara shahr aamada
koi ab tak magar ghar se kamar-basta nahin nikla
tumhaari guftugu sari mujhe lagti hai masnu'i
koi jumla tumhaare munh se barjasta nahin nikla
yahan do-chaar din mera Thaharne ka irada tha
magar is shahr se bahar koi rasta nahin nikla
kai andaz se ye dil KHarida aur becha hai
magar sauda mohabbat mein kabhi sasta nahin nikla
na-jaane mar gaya is shahr ka har shaKHs kyon 'asim'
ki andar se to koi jism bhi KHasta nahin nikla
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 61)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.