guzri hai ajab ishq ka meyar banate
guzrī hai 'ajab 'ishq kā me'yār banāte
is raah ko kuchh aur bhī dushvār banāte
andar kī ghuTan kā hameñ andāz nahīñ thā
varna ye makāñ aur havā-dār banāte
kyā jāniye kab tak ho mukammal tirī tasvīr
ik 'umr huī hai lab-o-ruḳhsār banāte
do din se ziyāda hameñ rahnā hī nahīñ thā
do din ke liye kyā dar-o-dīvār banāte
achchhā kiyā bar-vaqt use chhoḌ ke ham ne
ab kyā use apne liye āzār banāte
tasvīr meñ bharte rahe rangoñ se ujālā
kāġhaz pe rahe sub.h ke āsār banāte
guzri hai 'ajab 'ishq ka me'yar banate
is rah ko kuchh aur bhi dushwar banate
andar ki ghuTan ka hamein andaz nahin tha
warna ye makan aur hawa-dar banate
kya jaaniye kab tak ho mukammal teri taswir
ek 'umr hui hai lab-o-ruKHsar banate
do din se ziyaada hamein rahna hi nahin tha
do din ke liye kya dar-o-diwar banate
achchha kiya bar-waqt use chhoD ke hum ne
ab kya use apne liye aazar banate
taswir mein bharte rahe rangon se ujala
kaghaz pe rahe subh ke aasar banate
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.