hadisa to faqat bahana tha
hādisa to faqat bahāna thā
tū ne yuuñ bhī to chhoḌ jaanā thā
tum ne sab kuchh hī le liyā hai nayā
apnā rishta bhī to purānā thā
maiñ bhalā chīḳh kar bhī kyā kartā
tum ko to faisla sunānā thā
sach phir ik baar chaḌh gayā suulī
jhuuT ke saath phir zamāna thā
terī merī barābarī thī kahāñ
tum ko yuuñ bhī to jiit jaanā thā
chāñdnī se rahā vahī mahrūm
jo yahāñ chāñd kā divāna thā
ab tū baiThā hai yaar kyoñ rone
dil zarā soch ke lagānā thā
hadisa to faqat bahana tha
tu ne yun bhi to chhoD jaana tha
tum ne sab kuchh hi le liya hai naya
apna rishta bhi to purana tha
main bhala chiKH kar bhi kya karta
tum ko to faisla sunana tha
sach phir ek bar chaDh gaya suli
jhuT ke sath phir zamana tha
teri meri barabari thi kahan
tum ko yun bhi to jit jaana tha
chandni se raha wahi mahrum
jo yahan chand ka diwana tha
ab tu baiTha hai yar kyon rone
dil zara soch ke lagana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.