hadse nahin hue ki tajraba nahin hua
hādse nahīñ hue ki tajraba nahīñ huā
muḳhtasar sī zindagī meñ kyā se kyā nahīñ huā
bhurbhurī sī haDDiyoñ meñ vaqt kā surāġh thā
apnī qabr khodne kā hausla nahīñ huā
qurbatoñ ke fāsle ki fāsloñ kī qurbateñ
qurbateñ nahīñ huiiñ ki fāsla nahīñ huā
sāmnā kahāñ huā tirā ḳhud apnī zaat se
shukr kar ai fitna-gar maiñ aa.ina nahīñ huā
titliyoñ sī ḳhvāhishoñ ke jangaloñ meñ kho ga.e
hasratoñ ke jugnuoñ se haq adā nahīñ huā
hadse nahin hue ki tajraba nahin hua
muKHtasar si zindagi mein kya se kya nahin hua
bhurbhuri si haDDiyon mein waqt ka suragh tha
apni qabr khodne ka hausla nahin hua
qurbaton ke fasle ki faslon ki qurbaten
qurbaten nahin huin ki fasla nahin hua
samna kahan hua tera KHud apni zat se
shukr kar ai fitna-gar main aaina nahin hua
titliyon si KHwahishon ke jangalon mein kho gae
hasraton ke jugnuon se haq ada nahin hua
- Book : Ishq (Pg. 80)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.