haal-e-supurdagi mein bhi dil ko malal sa raha

haal-e-supurdagi mein bhi dil ko malal sa raha
Mahender Kumar Sani
MORE BYMahender Kumar Sani
hāl-e-supurdagī meñ bhī dil ko malāl sā rahā
tere ḳhayāl meñ bhī kuchh apnā ḳhayāl sā rahā
mujh ko to kuchh ġharaz na thī tere javāb se magar
is dil-e-be-imān ke jī meñ savāl sā rahā
tū ne mujhe chhuā thā kyā jaane vo mo'jiza thā kyā
hijr kī sā'atoñ meñ bhī mujh ko visāl sā rahā
kitnī masāfatoñ ke baa'd tai huī thī vo rāh-e-yād
itne qarīb aa ke bhī shīshe meñ baal sā rahā
vahm-o-gumāñ yaqīn-o-haq dil ke maqām the sabhī
haal jo dil kā thā vahī apnā bhī haal sā rahā
raas na aayā hasb-e-hāl ham ko to terā bhī visāl
kaisā bhī thā jahāñ kā haal jī ko vabāl sā rahā
haal-e-supurdagi mein bhi dil ko malal sa raha
tere KHayal mein bhi kuchh apna KHayal sa raha
mujh ko to kuchh gharaz na thi tere jawab se magar
is dil-e-be-iman ke ji mein sawal sa raha
tu ne mujhe chhua tha kya jaane wo mo'jiza tha kya
hijr ki sa'aton mein bhi mujh ko visal sa raha
kitni masafaton ke ba'd tai hui thi wo rah-e-yaad
itne qarib aa ke bhi shishe mein baal sa raha
wahm-o-guman yaqin-o-haq dil ke maqam the sabhi
haal jo dil ka tha wahi apna bhi haal sa raha
ras na aaya hasb-e-haal hum ko to tera bhi visal
kaisa bhi tha jahan ka haal ji ko wabaal sa raha
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 42)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.