haalanki bhare ghar mein to ab koi nahin hai
hālāñki bhare ghar meñ to ab koī nahīñ hai
parchhā.īñ koī Dar ke magar ab bhī vahīñ hai
ye nashsha-e-ġham mujh ko sañbhalne nahīñ detā
rakhtā huuñ kahīñ paañv to paḌ jaatā kahīñ hai
haath apne lapakte haiñ ki chhū leñ mah-o-anjum
paaoñ meñ magar sūrat-e-zanjīr zamīñ hai
paḌh saktā agar ho to paḌhe saarā zamāna
tū jis pe hai tahrīr vo merī hī jabīñ hai
ye dasht-o-daman kuchh bhī nahīñ haiñ mire aage
phailā huā sahrā bhī mire zer-e-nagīñ hai
lagtā hai 'nafīs' ab ki badal jā.egā mausam
ab shaam ke chehre pe udāsī bhī nahīñ hai
haalanki bhare ghar mein to ab koi nahin hai
parchhain koi Dar ke magar ab bhi wahin hai
ye nashsha-e-gham mujh ko sanbhalne nahin deta
rakhta hun kahin panw to paD jata kahin hai
hath apne lapakte hain ki chhu len mah-o-anjum
paon mein magar surat-e-zanjir zamin hai
paDh sakta agar ho to paDhe sara zamana
tu jis pe hai tahrir wo meri hi jabin hai
ye dasht-o-daman kuchh bhi nahin hain mere aage
phaila hua sahra bhi mere zer-e-nagin hai
lagta hai 'nafis' ab ki badal jaega mausam
ab sham ke chehre pe udasi bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.