hath pakaD kar andar tak le jate hain
haath pakaḌ kar andar tak le jaate haiñ
kuchh manzar pas-manzar tak le jaate haiñ
ham ko dīvāroñ se koī pyaar nahīñ
kuchh bachche haiñ jo ghar tak le jaate haiñ
roz irāda karte haiñ mar jaane kā
roz gale ko ḳhanjar tak le jaate haiñ
chaḌhne vaalo zīnoñ kī tā'zīm karo
ziine hī to uupar tak le jaate haiñ
bujh jaate haiñ ham bhī sūraj ke hamrāh
raakh uThā kar bistar tak le jaate haiñ
yā daftar ko le aate haiñ ghar ke paas
yā ghar ko hī daftar tak le jaate haiñ
ek parinda hai jo uḌtā rahtā hai
log nishāne shahpar tak le jaate haiñ
hath pakaD kar andar tak le jate hain
kuchh manzar pas-manzar tak le jate hain
hum ko diwaron se koi pyar nahin
kuchh bachche hain jo ghar tak le jate hain
roz irada karte hain mar jaane ka
roz gale ko KHanjar tak le jate hain
chaDhne walo zinon ki ta'zim karo
zine hi to upar tak le jate hain
bujh jate hain hum bhi suraj ke hamrah
rakh uTha kar bistar tak le jate hain
ya daftar ko le aate hain ghar ke pas
ya ghar ko hi daftar tak le jate hain
ek parinda hai jo uDta rahta hai
log nishane shahpar tak le jate hain
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 95)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.