hai ab to hasinaon ka halqa mere aage
hai ab to hasīnāoñ kā halqa mire aage
salmā mire pīchhe hai zuleḳhā mere aage
biivī ke liye kyā koī qānūn nahīñ hai
hotā hai shab-o-roz tamāsha mire aage
har bhāñt kī 'aurat hai mire ḳhvāb kī tā'bīr
Tun-Tun mire pīchhe hai to rekhā mire aage
ab bach ke kahāñ jā.iye har samt hai dīvār
biivī mire pīchhe hai to bachcha mire aage
be-parda vo college meñ to phirtī haiñ barābar
oḌhā mire mahbūb ne burqa mire aage
dhanvān hai sasurāl yahī merī sazā hai
har vaqt hī biivī kā hai DanDā mire aage
kyoñ mujh ko ministry se haTāne pe tule ho
rahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage
khā khā ke davā.eñ maiñ javāñ rahtā huuñ har-dam
lagtā hai mirā laḌkā bhī abbā mire aage
das bachchoñ ke abbā haiñ magar hai yahī ḳhvāhish
har vaqt hī baiThī rahe lailā mire aage
maiñ ab ke election meñ gañvā baiThā zamānat
Duubā mirī qismat kā sitāra mire aage
ab vo bhī to kahne lage mujh ko 'nazar' uncle
niklā hai murādoñ kā janāza mire aage
hai ab to hasinaon ka halqa mere aage
salma mere pichhe hai zuleKHa mere aage
biwi ke liye kya koi qanun nahin hai
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
har bhant ki 'aurat hai mere KHwab ki ta'bir
Tun-Tun mere pichhe hai to rekha mere aage
ab bach ke kahan jaiye har samt hai diwar
biwi mere pichhe hai to bachcha mere aage
be-parda wo college mein to phirti hain barabar
oDha mere mahbub ne burqa mere aage
dhanwan hai sasural yahi meri saza hai
har waqt hi biwi ka hai DanDa mere aage
kyon mujh ko ministry se haTane pe tule ho
rahne do abhi saghar-o-mina mere aage
kha kha ke dawaen main jawan rahta hun har-dam
lagta hai mera laDka bhi abba mere aage
das bachchon ke abba hain magar hai yahi KHwahish
har waqt hi baiThi rahe laila mere aage
main ab ke election mein ganwa baiTha zamanat
Duba meri qismat ka sitara mere aage
ab wo bhi to kahne lage mujh ko 'nazar' uncle
nikla hai muradon ka janaza mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.