aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai aks-e-aina dil mein kisi bilqis-e-sani ka

Dattatriya Kaifi

hai aks-e-aina dil mein kisi bilqis-e-sani ka

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    hai aks-e-ā.īna dil meñ kisī bilqīs-e-sānī

    tasavvur hai mirā ustād bahzād aur maanī

    ġhanīmat samjho ye mil baiThnā yārān-e-jānī

    bharosā kyā hai duniyā meñ do-roza zindagānī

    nazākat ho ga.ī zarbul-masal un zamāne meñ

    bhalā ho ulūhī is hamārī saḳht-jānī

    hai aks is chashm-e-pur-nam meñ kisī aabī dupaTTe

    banāyā hai makāñ ham ne ajab paanī meñ paanī

    ġhazab kaaT kar kartī haiñ adā.eñ us parī-vash

    ubhāroñ par hai joban aur aalam hai javānī

    umañgoñ kasak bechain kartī hai unheñ lekin

    nazākat rok detī hai irāda naujavānī

    shab-e-furqat jo ThanDe ThanDe ho jaa.e visāl apnā

    gumāñ ho maut par apnī hayāt-e-jāvedānī

    ye dil kyuuñ bujh gayā soz-e-firāq-e-sho.ala-rūyāñ meñ

    tamāshā hai kiyā hai aag ne yaañ kaam paanī

    ḳhayāl ik chashm-e-maigūñ sadā masrūr rakhtā hai

    yahāñ kyā kaam hai saaqī sharāb-e-arġhavānī

    yahī haiñ dekh lo vo shā.ir-e-mo.ajiz-bayāñ 'kaifī'

    zamāne meñ hai charchā aaj jin ḳhush-bayānī

    hai aks-e-aina dil mein kisi bilqis-e-sani ka

    tasawwur hai mera ustad bahzad aur mani ka

    ghanimat samjho ye mil baiThna yaran-e-jaani ka

    bharosa kya hai duniya mein do-roza zindagani ka

    nazakat ho gai zarbul-masal un ki zamane mein

    bhala ho ya uluhi is hamari saKHt-jaani ka

    hai aks is chashm-e-pur-nam mein kisi aabi dupaTTe ka

    banaya hai makan hum ne ajab pani mein pani ka

    ghazab ka kaT kar karti hain adaen us pari-wash ki

    ubhaaron par hai joban aur aalam hai jawani ka

    umangon ki kasak bechain karti hai unhen lekin

    nazakat rok deti hai irada naujawani ka

    shab-e-furqat jo ThanDe ThanDe ho jae visal apna

    guman ho maut par apni hayat-e-jawedani ka

    ye dil kyun bujh gaya soz-e-firaq-e-shoala-ruyan mein

    tamasha hai kiya hai aag ne yan kaam pani ka

    KHayal ek chashm-e-maigun ka sada masrur rakhta hai

    yahan kya kaam hai saqi sharab-e-arghawani ka

    yahi hain dekh lo wo shair-e-moajiz-bayan 'kaifi'

    zamane mein hai charcha aaj jin ki KHush-bayani ka

    Source:

    Waridat (Pg. 498)

    • Author: Dattatriya Kaifi
      • Edition: 1941
      • Publisher: Measures Ram Lal Soori and Son's, Anarkali, Lahore
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now