Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai barham phir mizaj un ka dil-e-nakaam kya hoga

Kashfi Lucknavi

hai barham phir mizaj un ka dil-e-nakaam kya hoga

Kashfi Lucknavi

MORE BYKashfi Lucknavi

    hai barham phir mizāj un dil-e-nākām kyā hogā

    yahī sūrat rahī to ishq anjām kyā hogā

    ḳhalish dil meñ jigar meñ dard lab par mohr-e-ḳhāmoshī

    ye sūrat hai to phir mujh ko bhalā ārām kyā hogā

    ye bazm-e-nāz hai ai dil yahāñ behtar hai ḳhāmoshī

    sunā kar un ko apnā qissa-e-ālām kyā hogā

    yahī hai zohd aalam to phir ai hazrat-e-nāseh

    sharāb-e-hauz-e-kausar chhalaktā jaam kyā hogā

    abhī se aañkh meñ aañsū haiñ lab par aah dil meñ dard

    ye āġhāz-e-mohabbat hai to phir anjām kyā hogā

    ḳhudārā ye bhī socho ai chaman ke chhoḌne vaalo

    haiñ jo sahn-e-chaman meñ in ab anjām kyā hogā

    koī badnām ho jaa.e to is ko bhī bahut samjho

    hai ye duurī ḳhudī is meñ kisī naam kyā hogā

    abhī to shab hai aao pyaar bāteñ kareñ ham tum

    abhī se kyuuñ ye socheñ sub.h paiġhām kyā hogā

    jidhar dekho udhar zulmat nazar aatī hai ai 'kashfī'

    sahar rañg hai jab ye to rañg-e-shām kyā hogā

    hai barham phir mizaj un ka dil-e-nakaam kya hoga

    yahi surat rahi to ishq ka anjam kya hoga

    KHalish dil mein jigar mein dard lab par mohr-e-KHamoshi

    ye surat hai to phir mujh ko bhala aaram kya hoga

    ye bazm-e-naz hai ai dil yahan behtar hai KHamoshi

    suna kar un ko apna qissa-e-alam kya hoga

    yahi hai zohd ka aalam to phir ai hazrat-e-naseh

    sharab-e-hauz-e-kausar ka chhalakta jam kya hoga

    abhi se aankh mein aansu hain lab par aah dil mein dard

    ye aaghaz-e-mohabbat hai to phir anjam kya hoga

    KHudara ye bhi socho ai chaman ke chhoDne walo

    hain jo sahn-e-chaman mein in ka ab anjam kya hoga

    koi badnam ho jae to is ko bhi bahut samjho

    hai ye duri KHudi is mein kisi ka nam kya hoga

    abhi to shab hai aao pyar ki baaten karen hum tum

    abhi se kyun ye sochen subh ka paigham kya hoga

    jidhar dekho udhar zulmat nazar aati hai ai 'kashfi'

    sahar ka rang hai jab ye to rang-e-sham kya hoga

    Source:

    Saaz-o-Naghma (Pg. 19)

    • Author: Kashfi Lucknavi
      • Edition: 1971
      • Publisher: Idara Farogh-e-Urdu, Lucknow
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now