Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai dil ko jo yaad-e-falak-e-pir kisi ki

Bahadur Shah Zafar

hai dil ko jo yaad-e-falak-e-pir kisi ki

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    hai dil ko jo yād-e-falak-e-pīr kisī

    āñkhoñ ke tale phirtī hai tasvīr kisī

    girya bhī hai naala bhī hai aur āh-o-fuġhāñ bhī

    par dil meñ huī us ke na tāsīr kisī

    haath aa.e hai kyā ḳhaak tire ḳhāk-e-kaf-e-pā

    jab tak ki na qismat meñ ho iksīr kisī

    yaaro vo hai bigḌā huā bāteñ na banāo

    kuchh pesh nahīñ jaane taqrīr kisī

    nāzāñ na ho mun.im ki jahāñ terā mahal hai

    hovegī yahāñ pahle bhī ta.amīr kisī

    merī girah-e-dil na khulī hai na khulegī

    jab tak na khule zulf-e-girah-gīr kisī

    aatā bhī agar hai to vo phir jaa.e hai ulTā

    jis vaqt ulaT jaa.e hai taqdīr kisī

    is abrū o mizhgāñ se 'zafar' tez ziyāda

    ḳhanjar na kisī hai na shamshīr kisī

    jo dil se udhar jaa.e nazar dil ho giraftār

    mujrim ho koī aur ho taqsīr kisī

    hai dil ko jo yaad-e-falak-e-pir kisi ki

    aankhon ke tale phirti hai taswir kisi ki

    girya bhi hai nala bhi hai aur aah-o-fughan bhi

    par dil mein hui us ke na tasir kisi ki

    hath aae hai kya KHak tere KHak-e-kaf-e-pa

    jab tak ki na qismat mein ho iksir kisi ki

    yaro wo hai bigDa hua baaten na banao

    kuchh pesh nahin jaane ki taqrir kisi ki

    nazan na ho munim ki jahan tera mahal hai

    howegi yahan pahle bhi tamir kisi ki

    meri girah-e-dil na khuli hai na khulegi

    jab tak na khule zulf-e-girah-gir kisi ki

    aata bhi agar hai to wo phir jae hai ulTa

    jis waqt ulaT jae hai taqdir kisi ki

    is abru o mizhgan se 'zafar' tez ziyaada

    KHanjar na kisi ka hai na shamshir kisi ki

    jo dil se udhar jae nazar dil ho giraftar

    mujrim ho koi aur ho taqsir kisi ki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hai dil ko jo yaad-e-falak-e-pir kisi ki Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now