hai faqat yahi fasana meri umr-e-muKHtasar ka
hai faqat yahī fasāna mirī 'umr-e-muḳhtasar kā
mirī kyā bisāt-e-hastī huuñ charāġh raat bhar kā
baḌī hausle se khelī huuñ ye zindagī kī baazī
mujhe kyā miTā sakegā koī ġham idhar-udhar kā
mire sīna-e-jahāñ ko mire ġham ne phūñk Daalā
mirā ghar jalāyā jis ne vo charāġh bhī thā ghar kā
mujhe raas hī na aa.e mire nīm-shab ke sajde
mujhe dekh lo nishāñ huuñ maiñ du’ā-e-be-asar kā
jo bahār-e-gulsitāñ meñ yūñhī ban sañvar ke niklīñ
ye batāo mujh ko 'mariyam' ki hai qasd ab kidhar kā
hai faqat yahi fasana meri 'umr-e-muKHtasar ka
meri kya bisat-e-hasti hun charagh raat bhar ka
baDi hausle se kheli hun ye zindagi ki bazi
mujhe kya miTa sakega koi gham idhar-udhar ka
mere sina-e-jahan ko mere gham ne phunk Dala
mera ghar jalaya jis ne wo charagh bhi tha ghar ka
mujhe ras hi na aae mere nim-shab ke sajde
mujhe dekh lo nishan hun main du’a-e-be-asar ka
jo bahaar-e-gulsitan mein yunhi ban sanwar ke niklin
ye batao mujh ko 'mariyam' ki hai qasd ab kidhar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.