hai intizar koi shai mujhe pata hi nahin
hai intizār koī shai mujhe pata hī nahīñ
maiñ tāktī huī āñkhoñ meñ jhāñktā hī nahīñ
mujhe vo apnā samajhne kī bhuul kyoñ na kare
use maiñ ġhair kī nazroñ se dekhtā hī nahīñ
vo haal hai ki kahīñ duur jā ke chhup jā.ūñ
chhupe huoñ ko magar koī DhūñDhtā hī nahīñ
subūt denā hī hogā ab apne hone kā
mire huzūr koī aur rāsta hī nahīñ
na jaane kaise mujhe e'tibār hone lagā
mirī luġhat meñ to lafz-e-yaqīn thā hī nahīñ
hai intizar koi shai mujhe pata hi nahin
main takti hui aankhon mein jhankta hi nahin
mujhe wo apna samajhne ki bhul kyon na kare
use main ghair ki nazron se dekhta hi nahin
wo haal hai ki kahin dur ja ke chhup jaun
chhupe huon ko magar koi DhunDhta hi nahin
subut dena hi hoga ab apne hone ka
mere huzur koi aur rasta hi nahin
na jaane kaise mujhe e'tibar hone laga
meri lughat mein to lafz-e-yaqin tha hi nahin
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 28)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.