hai jaisi ishq bala dusri bala koi hai
hai jaisī 'ishq balā dūsrī balā koī hai
magar hai is meñ jo us lutf sā mazā koī hai
samā'atoñ meñ ye kyoñ jal-tarang bajne lage
ye kaisī dil pe hai dastak Thahar zarā koī hai
mahak se rang se sur se hai 'ishq hone lagā
jo dil meñ jhāñk ke dekhā to ye khulā koī hai
tanābeñ TūTne lagtī haiñ kyoñ rag-e-jāñ kī
jo khīñchtā hai tirī samt silsila koī hai
paḌāo hai ye faqat itnā ehtimām na kar
jahāñ meñ kaun rahā hai sadā batā koī hai
kamāl-e-husn 'atā-e-suḳhan pe itnā ġhurūr
hai kaun suntā tujhe tujh ko dekhtā koī hai
lagā na aas ki ik shahr-e-nāsipās hai ye
koī nahīñ hai yahāñ dard-āshnā koī hai
samā'atoñ se the 'aarī makīn-e-shahr sabhī
ujaaḌ galiyoñ meñ dil chīḳhtā rahā koī hai
lagā.e maut gale kab kisī ko kyā mā'lūm
so zindagī kā bhī ab e'tibār kyā koī hai
pukārtī phirī is shahr-e-sang meñ 'nasrīn'
dhaḌaktā dil hai koī zehn sochtā koī hai
hai jaisi 'ishq bala dusri bala koi hai
magar hai is mein jo us lutf sa maza koi hai
sama'aton mein ye kyon jal-tarang bajne lage
ye kaisi dil pe hai dastak Thahar zara koi hai
mahak se rang se sur se hai 'ishq hone laga
jo dil mein jhank ke dekha to ye khula koi hai
tanaben TuTne lagti hain kyon rag-e-jaan ki
jo khinchta hai teri samt silsila koi hai
paDao hai ye faqat itna ehtimam na kar
jahan mein kaun raha hai sada bata koi hai
kamal-e-husn 'ata-e-suKHan pe itna ghurur
hai kaun sunta tujhe tujh ko dekhta koi hai
laga na aas ki ek shahr-e-nasipas hai ye
koi nahin hai yahan dard-ashna koi hai
sama'aton se the 'ari makin-e-shahr sabhi
ujaD galiyon mein dil chiKHta raha koi hai
lagae maut gale kab kisi ko kya ma'lum
so zindagi ka bhi ab e'tibar kya koi hai
pukarti phiri is shahr-e-sang mein 'nasrin'
dhaDakta dil hai koi zehn sochta koi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.