Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai kitni KHud-gharaz makkar duniya humne dekha hai

Meem Sheen Najmi

hai kitni KHud-gharaz makkar duniya humne dekha hai

Meem Sheen Najmi

MORE BYMeem Sheen Najmi

    hai kitnī ḳhud-ġharaz makkār duniyā ham ne dekhā hai

    ḳhud apnī tabāhī tamāsha ham ne dekhā hai

    hamāre ghar jale haiñ ḳhud hamāre charāġhoñ se

    khulī āñkhoñ se apnoñ irāda ham ne dekhā hai

    ye sajda-rez tak hotī hai duniyā jabr ke aage

    kahīñ Dar se bajā laatī hai mujrā ham ne dekhā hai

    qayāmat-ḳhez tūfānoñ meñ barsātī havāoñ meñ

    ubharte Dūbte dil jazīra ham ne dekhā hai

    tasallī dene vaale ḳhud maza lete haiñ hañs hañs kar

    pas-e-ehsān-o-hamdardī dikhāvā ham ne dekhā hai

    saf-e-mātam tayyārī kahīñ shahnā.iyāñ sargarm

    dikhātī hai ye duniyā rang kyā kyā ham ne dekhā hai

    huā kyā is se hāsil mai-kade vaalo batā denā

    jo girne aur sambhalne tamāshā ham ne dekhā hai

    ḳhulūs-e-dil se saarī sarhadeñ mil jaatī haiñ 'najmī'

    jahāñ milte haiñ sab raste vo rasta ham ne dekhā hai

    hai kitni KHud-gharaz makkar duniya hum ne dekha hai

    KHud apni hi tabahi ka tamasha hum ne dekha hai

    hamare ghar jale hain KHud hamare hi charaghon se

    khuli aankhon se apnon ka irada hum ne dekha hai

    ye sajda-rez tak hoti hai duniya jabr ke aage

    kahin Dar se baja lati hai mujra hum ne dekha hai

    qayamat-KHez tufanon mein barsati hawaon mein

    ubharte Dubte dil ka jazira hum ne dekha hai

    tasalli dene wale KHud maza lete hain hans hans kar

    pas-e-ehsan-o-hamdardi dikhawa hum ne dekha hai

    saf-e-matam ki tayyari kahin shahnaiyan sargarm

    dikhati hai ye duniya rang kya kya hum ne dekha hai

    hua kya is se hasil mai-kade walo bata dena

    jo girne aur sambhalne ka tamasha hum ne dekha hai

    KHulus-e-dil se sari sarhaden mil jati hain 'najmi'

    jahan milte hain sab raste wo rasta hum ne dekha hai

    Source:

    Dhoop Chhaun Ke Darmiyan (Pg. 37)

    • Author: Meem Sheen Najmi
      • Publisher: News Town Publishers, Mumbai
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now