Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai mere pahlu mein aur mujhko nazar aata nahin

Waliullah Muhib

hai mere pahlu mein aur mujhko nazar aata nahin

Waliullah Muhib

MORE BYWaliullah Muhib

    hai mire pahlū meñ aur mujh ko nazar aatā nahīñ

    is parī sehr yaaro kuchh kahā jaatā nahīñ

    ashk bārish meñ dil se ġham nikal aatā nahīñ

    ghar se bāhar meñh barasne meñ koī jaatā nahīñ

    chāk-e-jeb apne ko maiñ bhī juuñ garebān-e-sahar

    nāsehā tā-dāman-e-mahshar silvātā nahīñ

    sham.a saañ rishte par ulfat ke lagā dete haiñ sar

    āshiq aur ma.ashūq bhī dūsrā naatā nahīñ

    bas-ki tere hijr meñ hai nā-gavārā akl-o-sharb

    dil ba-juz ḳhūn-e-jigar ai jaan kuchh khātā nahīñ

    maiñ tum sab banā tīr-e-malāmat nishāñ

    us but-e-sarkash ko yaaro koī samjhātā nahīñ

    vaa.e ye ġhaflat ki dariyā biich qatre tarah

    aap meñ aap ko DhūñDūñ huuñ aur paatā nahīñ

    tark-e-ishq us sarv-e-bālā kiyā hai jab se dil

    ālam-e-bālā se bālā.ī ḳhabar laatā nahīñ

    bas-ki hai ham-rañg vāshud se 'muhib' us baaġh meñ

    dil ko ġhair-az-ġhuncha-e-tasvīr kuchh bhātā nahīñ

    hai mere pahlu mein aur mujh ko nazar aata nahin

    is pari ka sehr yaro kuchh kaha jata nahin

    ashk ki barish mein dil se gham nikal aata nahin

    ghar se bahar meinh barasne mein koi jata nahin

    chaak-e-jeb apne ko main bhi jun gareban-e-sahar

    naseha ta-daman-e-mahshar tu silwata nahin

    shama san rishte par ulfat ke laga dete hain sar

    aashiq aur mashuq sa bhi dusra nata nahin

    bas-ki tere hijr mein hai na-gawara akl-o-sharb

    dil ba-juz KHun-e-jigar ai jaan kuchh khata nahin

    main hi tum sab ka bana tir-e-malamat ka nishan

    us but-e-sarkash ko yaro koi samjhata nahin

    wae ye ghaflat ki dariya bich qatre ki tarah

    aap hi mein aap ko DhunDun hun aur pata nahin

    tark-e-ishq us sarw-e-baala ka kiya hai jab se dil

    aalam-e-baala se baalai KHabar lata nahin

    bas-ki hai ham-rang washud se 'muhib' us bagh mein

    dil ko ghair-az-ghuncha-e-taswir kuchh bhata nahin

    Source:

    Deewan-e-Waleeullah Muhib (Pg. e-291 p-290)

    • Author: Waliullah Muhib
      • Edition: 1999
      • Publisher: Sangat Publishers, Lahore
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now