Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai pairahan ka wo apne faqat naqib button

Aijaz Farooqui

hai pairahan ka wo apne faqat naqib button

Aijaz Farooqui

MORE BYAijaz Farooqui

    hai pairahan vo apne faqat naqīb button

    agar zabān mayassar ho to ḳhatīb button

    sadā-e-dil bhī vo suntā hai go tabīb button

    sabab ye hai ki bahut dil ke hai qarīb button

    libās-e-shoḳh pe zebā to ḳhush-nasīb button

    lage ġharīb ke collar pe to ġharīb button

    lagāte vaqt girā haath se chhiTak kar jab

    to us ko chhoḌ diyā kah ke kam-nasīb button

    jo TuuT kar kabhī kapḌoñ meñ lag nahīñ paate

    unhīñ ko kahte haiñ duniyā meñ bad-nasīb button

    nazar vo aa.eñ sabhī se alag isī dhun meñ

    lagā ke aa.e haiñ kurte meñ kuchh 'ajīb button

    havas bharī huī nazreñ to chubh nahīñ pātīñ

    khule libās ko hotā agar nasīb button

    kisī faqīr ke jab pairahan saath milā

    to us ko kahne lage sab ki hai najīb button

    irāda jaise kiyā us ne haq-bayānī

    gale meñ Daal ke chalne lagā salīb button

    bayān kaise karūñ maiñ tumhārī 'azmat

    har ik libās hotā hai to munīb button

    libās merā tire bin hai nā-mukammal to

    ḳharāj pesh hai tujh ko mire habīb button

    jo be-ḳhayālī meñ hoñToñ se lag gayā 'e'jāz'

    to us ne kah diyā merā hai ab raqīb button

    hai pairahan ka wo apne faqat naqib button

    agar zaban mayassar ho to KHatib button

    sada-e-dil bhi wo sunta hai go tabib button

    sabab ye hai ki bahut dil ke hai qarib button

    libas-e-shoKH pe zeba to KHush-nasib button

    lage gharib ke collar pe to gharib button

    lagate waqt gira hath se chhiTak kar jab

    to us ko chhoD diya kah ke kam-nasib button

    jo TuT kar kabhi kapDon mein lag nahin pate

    unhin ko kahte hain duniya mein bad-nasib button

    nazar wo aaen sabhi se alag isi dhun mein

    laga ke aae hain kurte mein kuchh 'ajib button

    hawas bhari hui nazren to chubh nahin patin

    khule libas ko hota agar nasib button

    kisi faqir ke jab pairahan ka sath mila

    to us ko kahne lage sab ki hai najib button

    irada jaise kiya us ne haq-bayani ka

    gale mein Dal ke chalne laga salib button

    bayan kaise karun main tumhaari 'azmat ka

    har ek libas ka hota hai to munib button

    libas mera tere bin hai na-mukammal to

    KHaraj pesh hai tujh ko mere habib button

    jo be-KHayali mein honTon se lag gaya 'e'jaz'

    to us ne kah diya mera hai ab raqib button

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now