hai tasawwur se mawara ye KHayal
hai tasavvur se māvarā ye ḳhayāl
aadmī ye jahāñ ḳhudā ye ḳhayāl
aadmī aur is kī duniyā.eñ
ek haiñ yā judā-judā ye ḳhayāl
kis zarūrat kī ye zarūrat hai
dekh to kyā hai ziist kā ye ḳhayāl
ek ye jism phir taqāzā-e-jism
'āqibat us pe phir sazā ye ḳhayāl
jurm mutvātir-o-musalsal jurm
saath meñ ho rahī du'ā ye ḳhayāl
do nahīñ jis ke haiñ hazāroñ paaT
hai ye duniyā vo āsiyā ye ḳhayāl
ek jaltā huā sā jangal hai
jis meñ maiñ ek fāḳhta ye ḳhayāl
hai tasawwur se mawara ye KHayal
aadmi ye jahan KHuda ye KHayal
aadmi aur is ki duniyaen
ek hain ya juda-juda ye KHayal
kis zarurat ki ye zarurat hai
dekh to kya hai zist ka ye KHayal
ek ye jism phir taqaza-e-jism
'aqibat us pe phir saza ye KHayal
jurm mutwatir-o-musalsal jurm
sath mein ho rahi du'a ye KHayal
do nahin jis ke hain hazaron paT
hai ye duniya wo aasiya ye KHayal
ek jalta hua sa jangal hai
jis mein main ek faKHta ye KHayal
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 87)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.