Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hain jitni KHub-surat utni hi hain bewafa dekho

Sada Ambalvi

hain jitni KHub-surat utni hi hain bewafa dekho

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    haiñ jitnī ḳhūb-sūrat utnī haiñ bevafā dekho

    'sadā' bas duur se in hasīnoñ adā dekho

    makīñ ai shaiḳh sāhib har makāñ meñ hai ḳhudā dekho

    bahut DhūñDhā hai kā'be meñ zarā ab but-kada dekho

    karo mat fikr marne ki marnā to musallam hai

    magar marne se pahle zindagī har maza dekho

    'ibādat ho rahī hai is jahāñ meñ kaise kaisoñ

    ḳhudā but ban ke baiThā hai bane haiñ but ḳhudā dekho

    burā sab se vahī hai jo burā auroñ ko kahtā hai

    burā.ī dekhne vaalo kabhī to aa.ina dekho

    banāyā aadmī jis ne kahāñ hai vo ḳhudā bolo

    banā.e aadmī ne to hazāroñ haiñ ḳhudā dekho

    bache jurm-e-ġhurūr-e-pārsā.ī se bhī ham vā'iz

    maze ke saath saath in laġhzishoñ fā.eda dekho

    abhī se kyoñ pareshāñ ho jahāñ kaj-adā.ī par

    abhī hai ibtidā dekhī abhī tum intihā dekho

    ḳhudā naam bhī lete chalo tum saath ke saath ab

    chalī aa.e na jaane kis ghaḌī kis pal qazā dekho

    na kuchh ‘ilm-e-‘arūz us ko na hai ahl-e-zabāñ vo

    banā phirtā hai nāhaq 'sadā' naġhma-sarā dekho

    hain jitni KHub-surat utni hi hain bewafa dekho

    'sada' bas dur hi se in hasinon ki ada dekho

    makin ai shaiKH sahib har makan mein hai KHuda dekho

    bahut DhunDha hai ka'be mein zara ab but-kada dekho

    karo mat fikr marne ki ki marna to musallam hai

    magar marne se pahle zindagi ka har maza dekho

    'ibaadat ho rahi hai is jahan mein kaise kaison ki

    KHuda but ban ke baiTha hai bane hain but KHuda dekho

    bura sab se wahi hai jo bura auron ko kahta hai

    burai dekhne walo kabhi to aaina dekho

    banaya aadmi jis ne kahan hai wo KHuda bolo

    banae aadmi ne to hazaron hain KHuda dekho

    bache jurm-e-ghurur-e-parsai se bhi hum wa'iz

    maze ke sath sath in laghzishon ka faeda dekho

    abhi se kyon pareshan ho jahan ki kaj-adai par

    abhi hai ibtida dekhi abhi tum intiha dekho

    KHuda ka nam bhi lete chalo tum sath ke sath ab

    chali aae na jaane kis ghaDi kis pal qaza dekho

    na kuchh ‘ilm-e-‘aruz us ko na hai ahl-e-zaban hi wo

    bana phirta hai nahaq hi 'sada' naghma-sara dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now