hain kabhi wo multafit hum par kabhi bezar hain
haiñ kabhī vo multafit ham par kabhī bezār haiñ
pūchh mat kis kashmakash se jān-o-dil do-chār haiñ
baat hai mazlūm kī to gung mere yaar haiñ
khul chukā mujh par vo kis ke hāshiya-bardār haiñ
'ishq meñ yuuñ bhī suhūlat se haiñ miltī manzileñ
Duube un āñkhoñ ke sāgar meñ to samjho paar haiñ
aisī az-ḳhud-raftagī mai kī kahāñ marhūn hai
hai koī chashm-e-ḳhumār-āgīñ ki ham sarshār haiñ
de ke ranj-o-ġham hameñ un kī ḳhushī hai dīdanī
kyā ḳhabar un ko ki ham ḳhud darpa.e-āzār haiñ
paañv meñ chakkar hai yā phir khel hai taqdīr kā
'umr biitī apne kāñdhoñ par liye ghar-bār haiñ
vo kamar-basta jafā par apnī ḳhū sabr-o-razā
vo bhī mushkil hai vahāñ ham bhī yahāñ dushvār haiñ
aur hī sar haiñ jinheñ mansab ye hotā hai 'atā
raunaq-e-maidān-e-haq haiñ yā vo zeb-e-dār haiñ
kyā kahūñ 'nasrīn' sab haiñ ḳhvāb-e-ġhaflat ke asiir
be-basīrat haiñ magar ye zo'm hai bedār haiñ
hain kabhi wo multafit hum par kabhi bezar hain
puchh mat kis kashmakash se jaan-o-dil do-chaar hain
baat hai mazlum ki to gung mere yar hain
khul chuka mujh par wo kis ke hashiya-bardar hain
'ishq mein yun bhi suhulat se hain milti manzilen
Dube un aankhon ke sagar mein to samjho par hain
aisi az-KHud-raftagi mai ki kahan marhun hai
hai koi chashm-e-KHumar-agin ki hum sarshaar hain
de ke ranj-o-gham hamein un ki KHushi hai didani
kya KHabar un ko ki hum KHud darpae-azar hain
panw mein chakkar hai ya phir khel hai taqdir ka
'umr biti apne kandhon par liye ghar-bar hain
wo kamar-basta jafa par apni KHu sabr-o-raza
wo bhi mushkil hai wahan hum bhi yahan dushwar hain
aur hi sar hain jinhen mansab ye hota hai 'ata
raunaq-e-maidan-e-haq hain ya wo zeb-e-dar hain
kya kahun 'nasrin' sab hain KHwab-e-ghaflat ke asir
be-basirat hain magar ye zo'm hai bedar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.