hain sab ki tarah aur hain saron se alag hum
haiñ sab kī tarah aur haiñ sāroñ se alag ham
vahshat meñ rahe silsila-dāroñ se alag ham
kyā zikr kī majlis kā tumheñ haal sunā.eñ
baiThe the hazāroñ meñ hazāroñ se alag ham
atrāf hameñ khīñchte jaate the musalsal
qible ke liye ho ga.e chāroñ se alag ham
zāhir meñ bazāhir pe tavajjoh nahīñ dete
rakhte haiñ nazar 'aam nazāroñ se alag ham
rā'nā.ī meñ kyoñ husn-e-taḳhātub bhī muḳhil ho
us aañkh ko rakhte haiñ ishāroñ se alag ham
ham jānte haiñ lāzim-o-malzūm kī hujjat
paanī nahīñ karte haiñ kināroñ se alag ham
hotā hai nazar meñ koī maḳhsūs darīcha
hote haiñ qatāroñ meñ qatāroñ se alag ham
hain sab ki tarah aur hain saron se alag hum
wahshat mein rahe silsila-daron se alag hum
kya zikr ki majlis ka tumhein haal sunaen
baiThe the hazaron mein hazaron se alag hum
atraf hamein khinchte jate the musalsal
qible ke liye ho gae chaaron se alag hum
zahir mein bazahir pe tawajjoh nahin dete
rakhte hain nazar 'am nazaron se alag hum
ra'nai mein kyon husn-e-taKHatub bhi muKHil ho
us aankh ko rakhte hain ishaaron se alag hum
hum jaante hain lazim-o-malzum ki hujjat
pani nahin karte hain kinaron se alag hum
hota hai nazar mein koi maKHsus daricha
hote hain qataron mein qataron se alag hum
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 102)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.