hairan hun main ab jo mere ru-baru ho tum
hairān huuñ maiñ ab jo mire rū-barū ho tum
jo kuchh maiñ sochtā thā vahī hū-ba-hū ho tum
vīrān hai ye shahr-e-badan ek 'umr se
aur is meñ ho rahī hai jo ye hāo-hū ho tum
bardāsht kar bhī pā.ūñgā kyā is tapish ko maiñ
daur-e-ḳhizāñ hai aur bahut tez lū ho tum
ham ko bhī ye gumāñ hai bahut dil-shikan haiñ ham
tum ko bhī hai ye vahm bahut ḳhūb-rū ho tum
vahshat nahīñ hai raqs-e-masarrat hai dasht meñ
peḌoñ kī shakl meñ ye mire chār-sū ho tum
hairan hun main ab jo mere ru-baru ho tum
jo kuchh main sochta tha wahi hu-ba-hu ho tum
viran hai ye shahr-e-badan ek 'umr se
aur is mein ho rahi hai jo ye hao-hu ho tum
bardasht kar bhi paunga kya is tapish ko main
daur-e-KHizan hai aur bahut tez lu ho tum
hum ko bhi ye guman hai bahut dil-shikan hain hum
tum ko bhi hai ye wahm bahut KHub-ru ho tum
wahshat nahin hai raqs-e-masarrat hai dasht mein
peDon ki shakl mein ye mere chaar-su ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.