hairat ke ijtima mein kya dekhta hun main
hairat ke ijtimā' meñ kyā dekhtā huuñ maiñ
har aa.ine meñ 'aks tirā dekhtā huuñ maiñ
ai ham-safar safar hai samundar kā hoshyār
tū dekh mauj-e-āb havā dekhtā huuñ maiñ
kar e'tirāf-e-‘ishq sar-e-'ām faḳhr se
detā hai kaun tujh ko sazā dekhtā huuñ maiñ
har mahfil-e-nashāt meñ kartā nahīñ huuñ raqs
māhaul dekhtā huuñ fazā dekhtā huuñ maiñ
ai shahryār-e-shahr-e-nigārāñ mujhe batā
har roz kyā jamāl nayā dekhtā huuñ maiñ
ḳhurshīd kī shu'ā' hai nashtar banī huī
saaye se apnā jism judā dekhtā huuñ maiñ
hairat ke ijtima' mein kya dekhta hun main
har aaine mein 'aks tera dekhta hun main
ai ham-safar safar hai samundar ka hoshyar
tu dekh mauj-e-ab hawa dekhta hun main
kar e'tiraf-e-‘ishq sar-e-'am faKHr se
deta hai kaun tujh ko saza dekhta hun main
har mahfil-e-nashat mein karta nahin hun raqs
mahaul dekhta hun faza dekhta hun main
ai shahryar-e-shahr-e-nigaran mujhe bata
har roz kya jamal naya dekhta hun main
KHurshid ki shu'a' hai nashtar bani hui
saye se apna jism juda dekhta hun main
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 89)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.